Kabhi Sheeshay Dundhlay Hotay Hain
Kabhi Manzar Saaf Nahin Hotay
Kabhi Sooraj Baat Nahin Karta
Kabhi Taray Ankh Machooli Khailtay Hain
Kabhi Manzil Peechay Rehtee Hai
Kabhi Rastay Aagay Chaltay Hain
Kabhi Aasain Toor Nahin Charhtein
Kabhi Kadshay Pooray Hotay Hain
Kabhi Ankhain Deikh Nahin Saktein
Kabhi Khuwaab Adhooray Hottay Hain
Ye Sab Tu Sahi Hai Lakin Iss
Aashoob Kay Manzar Namay Main
Din Raat Kay Aanay Janay Main
Dunya Kay Aajaeb Khanay Main
Kuch Saya Kartee Ankhon Ko
Pimaan Tu Dikhaee Daitay Hain
Hathoon Say Agarcha Door Sahi
Imkaan Tu Dikhaee Daitay Hain
Rait Kay Iss Darya Say Udhar
Aik Pairoon Wali Bastee Hai
Arman Tu Dikhaee Daitay Hain
Manzil Say Koosoon Door Sahi
Pur Dard Sahi Ranjoor Sahi
Zakhmoon Say Musafir Choor Sahi
Par Kis Say Kahin Ai Jaan-E-Vafaa
Kuch Aise Ghaao Bhi Hotey Hain
Jinhein Zakhmi Aap Nahin Dhote
Bin Roye Huye Aansoon Ki Tarah
Seenay Mein Chupaa Ke Rakhate Hain
Aur Saari Umar Nahin Rotey
Nindein Bhi Muhaiyaa Hoti Hain
Sapane Bhii Duur Nahin Hotey
Kyun Phir Bhi Jaagatey Rahatey Hain
Kyun Saari Raat Nahin Sotey
Ab Kis Se Kahein Ai Jaan-E-Vafaa
Ye Ahal-E-Vafaa
Kis Aag Mein Jalatey Rahatey Hain
Kyun Bujh Ke Raakh Nahin Hotey