Kabhi Niqla Karo Ghar Se Humari Aarzu Lekar
Ye Kohra Chatne Se Pehle Zamee Ke Fatne Se Pehle
Dua Kerte Hain Ke Tumko Safar Mein Mil Hi Jaayen Hum
Musafir Aasmaano Ke Kabhi Niqla Karo Ghar Se
Humari Just-Ju Lekar Nazar Mein Guft-Gu Lekar
Kabhi Hum Tumse Mil Jayen To Chehre Phir Se Khil Jayen
Baaten Phir Se Bann Jayen Abhi Hasrat Bhi Baaki Hai
Tumhari Yaad Aati Hai Humne Ye Duaa Ki Thee
Tumhari Aarzu Her Ek Khuda Puri Ker Dale
To Maangi Aarzu Tumne Hami Se Dur Jaane Ki
Kabhi Vapas Na Aane Ki Humara Dil Jalaane Ki
Bin Chaand Ki Shab Ki Tarah Se Bujh Gaya Hun Main
Tamanna Deed Ki Lekar Tumhare Jee Raha Hun Main
Musafir Meri Raahon Ke Kabhi Niqla Karo Ghar Se
Karan Ki Aarzoo Lekar Mohabbat Dil Mein Rakhlo Gar
To Phir Wo Aa Mile Tumse