Kabhi Nazren Milane Mein Zamane Beet Jate Hain
Kabhi Nazren Churane Mein Zamane Beet Jate Hain
Kisi Ne Aankh Bhi Kohli To Sone Ki Nagri Mein
Kisi Ko Ghar Banane Mein Zamane Beet Jate Hain
Kabhi Kali Seya Ratain Humain Pal Pal Ki Lagti Hain
Kabhi Soraj Ko Aane Main Zamane Beet Jate Hain
Kabhi Khola Ghar Ka Darwaza Tou Samne Thi Manzil
Kabhi Manzil Ko Paane Main Zamane Beet Jate Hain
Dost Lamhon Mein Toot Jate Hain Umer Bher Ke Woh Bandhan
Woh Bandhan Jo Banane Mein Zamane Beet Jate Hain
Kabhi Ik Pal Baraber Ban Ke Sadain Beet Jate Hain
Kabhi Ik Pal Bitane Main Zamane Beet Jate Hain
Jinhen Hum Bhool Jate Hain Woh Phir Kyun Yaad Aate Hain
Inhen Phir Se Bhulane Mein Zamane Beet Jate Hain