Kabhi Kabhi Man Karta Hai Door Kahin Ud Jaaun Main
Koi Mujhko Dhoond Na Paye Nazron Se Chhup Jaaun Main
Khamoshi Ki Jheel Ho Koi Jheel Se Gahara Sannata
Sanso Ki Aawaz Faqt Ho Aur Dhadkta Dil Pyara
Ek Ek Dhadkan Jo Eri Sou Sou Baaten Kahti Hai
Usko Sunane Ki Mujhko Fursat Hi Kab Rahti Hai
Pyari Pyari Saanse Meri Mujhko Geet Sunati Hain
Lekin Mujhe Shor Me Dooba Pa Kabhi Kabhi Tham Jaati Hain
Aur Dimag Bhi Jo Apni Udaane Bharna Chahta Hai
Duniya Bhar Ke Shor Aur Ghul Me Bas Ghut Ke Rah Jaata Hai
Isiliye Main Chahti Hun Ek Akeli Tanhaai
Kisi Jheel Ka Khamosh Kinara Aur Mahkati Purwai
Sar Par Mere Dol Rahe Hon Lambe Pedon Ke Saaye
Shayed Tab Sahmi Si Dhadkan Mujhse Kuchh Kahne Paae
Thami Thami Si Saansen Meri Geet Vo Phir Se Gungunaen
Aur Dimag Azaad Sa Panchhi Ban Ke Bas Udta Jaae