Kabhi Akele Me Bethkar Ye Khayal Ata Hai
Ki Har Dum Mujhe Kyu Wo Hi Yaad Ata Hai
Jisne Zakhm Itne Diye
Jisne Sabhi Vaade Todd Diye
Kya Use Bhi Kabhi Tanhai Me Koi Gam Satata Hai
Umra Bhar Ka Sath Nibhane Ka Kehte The Jo
Wo Chand Lamho Ka Bhi Sath Na Nibha Paaye
Kya Itna Kamjor Pyar Hota Hai
Kya Kabhi Use Apne Kiye P Afsos Hota Hai
Unhone Apna Daaman Phoolo Se Saja Liya
.
Humara Nata Kaato Se Jodd Diya
Aasma Pe Behtakar Pal Bhar Me Gira Diya
Kya Yahi Usne Mujhe Meri Wafao Ka Sila Diya
Palat Ke Bhi Na Dekha Ki Hum Mar Gaye Ya Ji Rahe
Kya Yahi Sab Achhai Ke Naseeb Me Ata Hai
Uski Yaad Me Mene Kitne Aasu Bahaye
Kya Wo Bhi Kabhi Hum P Zulm Karke Rota Hai
Hai Is Duniya Me Khuda Kahi
To Kya Yahi Uske Darbaar Me Nyay Hota Hai
Ki Har Ek Begunaah Gamo Me Rota He Aur
Kasuwar Sone Ki Sej Par Sota Hai
Hum To Usme Bhi Khush Hai
Na Kabhi Shikwa Ki Na Shikayat Ki
Har Zakhm Has Kar Seh Gaye
Apne Aasuo Ko Khud Hi Pi Gaye
Par E-Khuda Itna Reham Zarur Karna
Ye Hasin Zulm Kisi Aur Pe Na Karna
Na Karna… Na Karna