Kab Is Dil Mein Tamanna-E-Jaawedani Thi
Humne Mager Kabhi Taqdeer Ki Na Mani Thi
(Jaawedani = Hameshgi)
Gerdesh-E-Mudam Se Nikle Bhi Hum Bar Ha
Baaes-E-Tameer Hum Ne Na Paii, Na Pani Thi
(Gerdesh-E-Mudam = Musalsal Banwar Mein) , (Bar Ha = Bar Bar)
Tum Se Bicher Ke Kabhi , Na Hon Ge Gham Zada
Baare Zeest Ke , Dil Mein Humne Yahi Thani Thi
(Baare Zeest Ke = Zindagi Ke Baare Mein)
Guzarish Woh Humse Ker Raha Tha , Najaane Kiyon
Wafa To Woh Ker Na Saka , Shayad Aabro Nibhani Thi
(Aabro = Izzat , Shohrat, Shan O Shokat)
Dast-O-Pa Ko Junbish Nahin Per Chashm Mein Tha Dum
Tassawur Hai Hayat , Wagerna Jan Hamari Jani Thi
(Dast-O-Pa = Haath Paaon) (Junbish = Herkat)
(Tassawur = Khayal ) (Chashm = Aankh )