Kab Ghustaakh Akhiyan
Tujhe Paaney Ke Sapnay Sajaane Lagi
Pata Hi Na Chala!!
Kab Saahil-E-Manzil Ke Chattan Pe Aake
Khawabon Ki Woh Leher Bikhhar Gayi
Pata Hi Na Chala!!
Tu Hi Tu Kab Nazar Aane Laga,
Meri Aankhon Ko Harr Nazaare Mein
Pata Hi Na Chala!!
Toot Ke Harr Woh Aaina Kab Bikkhar Geya,
Basi Thi Teri Surat Jis Mein
Pata Hi Na Chala!!
Kab Aaye Tum Zindagi Mein,
Hava Ke Mehke Huwe Jhhonke Ki Tarha
Pata Hi Na Chala!!
Kab Daaman Chhudaake Chal Diye,
Aur Jeene Lage Hum Zinda Laash Ki Tarha
Pata Hi Na Chala!!
Gham Dil Ki Gehraaiyon Mein Duffan Karke,
Kaise Apne Hi Ansuon Se Pyaas Apni Bhujhaate Gaye
Pata Hi Na Chala!!
Apne Tanha Armaanon Ki Arthi,
Kaise Apne Hi Khandhon Pe Uthhaake Chalte Gaye
Pata Hi Na Chala!!
Chala Ke Mohabbat Ki Raahon Pe
Kab Naseeb Mein Mere Khuda Ne Likhdi Judaii
Pata Hi Na Chala!!
Khaali Damaan Mein Harr Khushi Bharke
Kab Chheenke Wohi Khushiyan Sitmabgar Hogayi Khudaii
Pata Hi Na Chala!!
Khushiyon Ki Bahaar Abhi Aayi Kahan Thi
Ke Gham Ka Andhera Chhaa Geya,
Kab Zindagi Ka Yunh Rukh Badal Geya
Pata Hi Na Chala!!
Ab Toh Yeh Aalam Hai Ke,Na Dil Hai, Na Armaan,
Na Saans Lene Mein Woh Kashish,
Kab Jeene Se Yunh Dil Uthh Geya,
Pata Hi Na Chala!!