Kaash Woh Fir Sey Bulaayen Mujh Ko!
Fir Wahee Sheir Sunaayen Mujh Ko!
Jab Bhi Baahoun Mein Mujhey Neend Aaye:
Jaagtey Khwaab Dikhaayen Mujh Ko!
Raat Key Baad Shafaq-O-Shaam Aayen;
Roo-B-Roo Jaagtaa Paayen Mujh Ko!
Mein Unhain Deykhoon: Woh Mujhey Deykheyn:
Apney Saayey-Saa Banaayen Mujh Ko!
Kaan Mein, Paas Aakey Chupkey Sey,
Baatinee Raaz Bataayen Mujh Ko!
Rooh-E-Alfaaz Key Taaley Kholeyn;
Jhaanknaa Us Mein Sikhaayen Mujh Ko!
Ho Jirah Roz, Adbeeyaat Jageyn;
Khud Jhukeyn, Aur Jhukaayen Mujh Ko!
Zehn Parwaaz Kareyn Taaroun Tak;
Khud Utheyn, Aur Uthaayen Mujh Ko!
Zeest Ki Rah Mein Nou Bahaar Paley;
Ras Gulaaboun Key Dilaayen Mujh Ko!
Saaqiyah Ban, Rahain Qayaamat Tak:
Jaam Dar Jaam Pilaayen Mujh Ko!
Mein Rahoon Jis Jagah, Waheen Hon Woh;
Har Lamhey Roo-B-Roo Laayen Mujh Ko!
Ab, ‘Abd’, Log Kahain Jo Chaaheyn;
Woh Magar Har Lamhey Chaaheyn Mujh Ko!’