Kaash Meri Mout Uski Zindagi Ho Jaye,
Uske Ehsaano Mein Kush To Kami Ho Jaye.
Baha Dii Har Boond Lahoo Ki Isee Umeed Mein,
Koii To Boond Uski Aankh Ki Nami Ho Jaye.
Tamaam Kaante Palkon Se Chun Liye Maine,
Taki Uski Har Rah Phoolon Se Bhari Ho Jaye.
Har Shab Jalaa Ye Dil Bas Yahi Soach Kar,
Uske Andhere Ghar Mein Zara Roshni Ho Jaye.
Umr Bhar Oodha Uske Har Inkaar Ko Maine,
Aaj Uske Dupatte Ka Kafan Aakhri Ho Jaye.
Waqt-E-Aakhri Mein Raha Uska Zuban Pe Naam,
Thaa Yahi Armaan Har Saans Uski Bandagi Ho Jaye.
Umr Bhar Peeta Raha Ghoont Sabar Ke,
Laa Saaki Dede Zehar Aaj Jaam Aakhri Ho Jaye.
Iss Had Tak Barh Gayii Dushmani Uski,
‘Veer’ Kyaa Khabar Ab Ye Dosti Ho Jaye.