Kaash Kisi Ko Jaakar Bata Pau
Ki Mujhe Maa Ki Bahut Yaad Aati Hai
Kabhi Keh Du Bhukh Nahi
To Haathon Se Khilati Thi Maa.
Kabhi Keh Du Sar Dard Ho Raha Hai
To God Mein Sar Rakhkar Sehlaati Thi Maa.
Zidd Bhale Hi Jaayaz Na Ho
Par Har Zidd Pura Kar Jati Thi Maa.
Jo Ruth Kar Aakhon Mein Aansu Le Aau
To Mujhse Pehle Moti Barsaati Thi Maa..
Jo Zara Bhi Kabhi Beemar Ho Jau
Saari Saari Raat Sirhane Baithkar Beetati Thi Maa.
Jo Kabhi Bhi Akelapan Khane Ko Aata
Chupchap Hi Sahi Apne Paas Bithati Thi Maa.
Kabhi Jana Hi Nahi Jeevan Ka Dukh Kya Hai
Har Dukh Ko Aanchal Mein Chupati Thi Maa.
Aaj Maa Se Itni Duurr Aa Gayi Hu
Ki Maa Ko Dil Ki Aawaz Chu Nahi Paati
Aur Maa Ko Rulana Nahi Chahti Isiliye Keh Bhi Nahi Sakti
Ki Aapki Bahut Yaad Aati Hai Maa