Kaanton Se Bhara Mera Aashiyaana Ho Gaya Hai
Phoolon Ko Dekhe To Ek Zamaaana Ho Gaya Hai
Hasin Uski Sun Kar Hoti Thi Subah Meri
Khamoshi Si Aaj Kal Dostaana Ho Gaya Hai
Chanchal Si Aahat Uski Aati Hai Khvabon Mein
Sona Mere Liye To Bas Bahaana Ho Gaya Hai
Thi Zinda Meri Basti Uske Eh-Do-Karam Se
Bichadne Ke Baad To Ye Viraaana Ho Gaya Hai
Kehte Hai ‘Tan.Viir’ Ke Peena Chhod De
Jabki Khali Mera Paimaana Ho Gaya Hai
Sunaata Tha Haal-E-Dil Zamaane Ko Pehle
Ab To Ye Kissa Bhi Puraana Ho Gaya Hai