Kaante Zamaane Ne Hamari Raahon Mein Bichaaye
Toh Hum Muskuraakar Un Par Chal Gaye
Chhaale Dekhne Ke Liye Jab Pair Uthaaye
To Alhamdulillah Ki Awaaz Se Zakham Bhar Gaye
Teer Zamaane Ne Hamare Dil Par Chalaaye
Toh Hum Muhabbat Samajh Kar Aage Badh Gaye
Dil Ke Tukde Dekhne Ke Liye Jab Namn-Aankhon Ko Jhukaaye
Tere Nabi Ki Yaad Aate Hi Aansoo Tham Gaye
Yun Toh Hamara Imaan Dagmagaane Ke Liye,
Ameeri, Pyar, Dikhava, Har Hathiyaar Ka Istimaal Kiya Duniya Walon Ne
Apni Haalat Pe Mayus Hone Ke Liye Jab Khud Mein Khoye
Toh Teri Laakhon Niyaamaton Ko Mein Paa Kar Tere Shukarguzaar Ho Gaye
Ae Rabb, Jab Tak Ye Duniya, Chand, Sitaare Rahe
Salaamat Rahe Tera Naam Aur Tere Maannewale
Ke Sirf Teri Hi Rahmat Ki Kashti Pe Sawaar Ho Kar
Hum Zindagi Ke In Toofaani Samandaron Se Tar Gaye