Kaali Andheri Raat Ke Baad Subha Suhani Hoti Hai
Suraj Kii Kiran Roz Jharoke Se Andar Jhankti Hai
Phool Ki Pankhudi Se Roz Oss Ki Boond Lipatti Hai
Suniye! Aaj To Zara Aap Humare Paas Aake Bethiye
Gaay Ka Doodh Lekar Ramu Kaka To Kal Bhi Aayenge
Bartan, Jhadu Katka Karne Shanta Bai Kal Bhi Aayegi
Akhbaar Wala To Kal Bhi Koi Nayi Taaza Khabar Laayega
Suniye! Aaj To Zara Aap Humare Paas Aake Bethiye
Masoor Ki Dal Chulhe Pe Pakk Rahi Hai – Usse Pakne Do
Subha Ki Garam Chai Ka Paani Ubal Raha Hai – Ubalne Do
Nahane Ke Liye Paani Bhar Raha Hai – Usse Bharne Do
Suniye! Aaj To Zara Aap Humare Paas Aake Bethiye
Apne In Ghata Se Kaale Keshon Ko Yunhi Khula Rehne Do
Kaanch Ki Chudiyon Ko Yunhi Haathon Mein Khanakne Do
Komal Pairon Main Bandhi Payal Ko Yunhi Chanchanane Do
Suniye! Aaj To Zara Aap Humare Paas Aake Bethiye
Har Lamha Mann Sirf Aapko Ji Yaad Karta Rehta Hai
Masoon Dil Ki Har Dhadkan Sirf Aapka Hi Naam Leti Hai
Humare Har Saans Mein Aapka Hi Ehsaas Basta Hai
Suniye! Aaj To Zara Aap Humare Paas Aake Bethiye