K Armaan Tha Nadaan Dil Mien Ussey Paney K Liye,
Kiya Khabar Thi Khud Hi Mit Jayien Gey Hasool-E-Ishq K Liye
Wo Samajh Hi Na Saka Humien Dil Mien Ik Khalish Si Hai,
Warna Kiya Kuch Na Kartey Ussey Paney Key Liye

Har Phool Sey Khushboo, Ankhoon Ka Har Moti
Sabhi Kuch To Laye They Ussey Rokney K Liye
Mohabbat Gar Tumharey Bas Ki Baat Nahi To Bura Kia Hai
Hum Margaye Hain Kiya Waffa Nibhaney K Liye
Chalo Mana K Hum Qabil Hi Nahin Naza-E-Karam K
Ye Sitam Hi Sahi Ik Armaan Jagaaney Key Liye
Tujhey Paana To Muqadaaron Ka Khel Hai Laikin
Har Dua Mien Maangey Gay Tujhey Apnaaney Key Liye
Usko Paaney Ki Har Koshish Nakaam Hui Meri
Ye Khayal Hi Buhat Hai Malal-E-Dil K Liye
Buhat Ji Liya Hum Ney Saba Is Begharz Duniya Mien
Ab To Har Pal Beqaraar Hain Marney K Liye.