Junoon Ki Aag Main Din Raat Jalna Bhi Zaroori Tha
Jahan Ki Gardishoon Kay Saath Chalna Bhi Zaroori Tha
Main Akhir Kab Tak Is Ki Hararat Say Namu Pata
Woh Khursheed-E-Falak Tha,Is Ko Dhalna Bhi Zaroori Tha
Koi Shikwa Nahi Is Say, Agar Woh Chal Dia Ruk Ker
Usay Rukna Bhi Zaroori Tha To Chalna Bhi Zaroori Tha
Woh Pathar Tha To Usay Pathar Hi Rehna Tha Mehfil Main
Magar Main Moum Tha Mujh Ko Pighalna Bhi Zaroori Tha
Hamaray Dirmiyan Achay Dinooo Main Jo Taluq Tha
Buray Halaat Main Usay Badalna Bhi Zaroori Tha
Mujhay Maloom Tha Such Bolna Yahan Jurm Hai Laikin
Jo Dil Main Zehar Tha, Usay Ugalna Bhi Zaroori Tha
Mujhay Maloom Tha Dushman Hai Meri Ghat Main Waqar
Main Majbur Tha, Ghar Say Nikalna Bhi Zaroori Tha