Julfon Ke Saaye Hain Jinhe Haasil Dhoop Kaa Wo Ehsaas Kya Karein
Jaam Labon Ke Mauzood Ho Jahan Bhala Wahan Pyaas Kya Karein
Hizaab Kya Hata Rukh Se Husn Jaise Baaghi* Ho Utha
Jism Gar Utar Aaye Numaaish Par To Libaas Kya Karein
Majhab Koi Ho Daur-E-Taraqqi Mein Asli Khuda To Hain Paisa
Kaafir Hai Gareeb Wo Gurbat Hain Jiske Paas Kya Karein
Imaarton Ke Jungle Mein Do Gaj Jameen Bhii Dhundhe Nahin Milti
Shehar Mein Liye Phirte Hai Log Apni Laash Kya Karein
Dam Tod_te Rishton Ke Liye Yahan Fursat Nahin Kisi Ko
Taraqqi Kii Sadak Par Daud Rahe Hai Sab Badhawaas Kya Karein
Dil Ke Gubaar Ko Phir Kagaaz Par Utaar Baitha Tu Kureel
Bekasi Ke Aalaam Mein Dil Aaj Hain Udaas Kya Karein