Judaaii Ho Ke Milan Har Adaa Hamaarii Hai
Tumhaaraa Shahar Hai Lekin Fizaa Hamaarii Hai
Shikaayaten Bhii Karen Ham To Kis Zabaan Se Karen
Khudaa Banaayaa Ham Ne Ye Khataa Hamaarii Hai
[Khataa = Mistake]
Hamaare Jism Kii Uriyaanat Pe Mat Hansanaa
Ke Tum Jo Odhe Hue Ho Vo Ridaa Hamaarii Hai
[Uriyaanat = Nakedness/nudity; Ridaa = Cloak/sheet]
Hamaare Saamane Zebaa Nahiin Guruur Tumhen
Jahaan Pe Baithe Ho Tum Vo Jagaa Hamaarii Hai
[Zebaa Nahiin = Does Not Suit; Guruur = Pride]
[Jagaa = Place(Jagah)]