Juda Hokar Bhi Tum Kaise Ye Juda Na Huey,
Dhadke Is Sene Me Dhadkan Ki Tarha
Mil Na Paayi Hame Koyi Khushiya,
Tumhari Yaadin Jo Thi Ik Archan Ki Tarha
Ajab Se Tum Mere Saath Rahe,
Mehsus Kiya Maine Tumhe Apni Saanso-‘n Ki Tarha
Dekha To Nahi In Nazro-‘n Ke Saamne,
Par Rahe Tum In Aankhon Me Aansuo-‘n Ki Tarha
Nikaal Paayi Na Tumhe Is Bebas Dil Se,
Basey Jo They Tum Isme Gehrey Jasbaato-‘n Ki Tarha
Jaane Kyu Maana Tumhe Maine Apna-Apna,
Jab Kita Tumne Saluk Hamesha Bas Gairo-‘n Ki Tarha
Aise Thokar Lagi Is Aainey Dil Ko,
Chubey In Aankhon Mein Tuttey Sapno-‘n Ki Tarha
Rishtey Tut Kar Bhi Kuch Jude Rahe,
-Å—jo- Purey Na Huye Tum Ho Un Armmano-‘n Ki Tarha
Kiya Itna Intzaar Taaron Ko Ginkar Baar Baar,
Par Kaise Miltey Tum? Ban Jo Gaye They Tuttey Un Taaron Ki Tarha
Socha Tumhe Is Kadar Baar Baar
Ban Gaye Tum Bemaani Kuch Khyaalo-‘n Ki Tarha
Beyaan To Kiya Maine Par Koyi Samajh Na Paaya,
Jhalkey Tum Meri Har Ik Ghazalo-‘n Ki Tarha
Itna Kuch Bankar Rahe Tum Saath Mere,
Kaash! Bankar Tum Rehtey In Haato-‘n Me Basi In Lakhinro-‘n Ki Tarha