Jub Kabhi Tujh Se Juda-Ee Ka Khayal Aata Hai
Jalnay Lugta Hai Mera Zehen Mere Qalb-O-Jiger
Bhooli Bisri Hui Yadoan Ke Kaee Taj Mahal
Meri Bheegi Hui Palkon Pe Uter Atay Hain
Meri Aankhon Main Mere Khwab Sulag Uth-Tay Hain
Aur Tasawwur Mujhay Dikhlata Hay Ik Chehra Jo
Ke Hay Manoos Magar Dhundla Sa Jani Pechani See Awazz
Buhat Dheemay Se Jesay Kehti Ho Mere Kanoan Mein
Ger Ho Mumkin To Ther Jao Abheee
Zindagee Karb-E-Judaee Ke Siwa Kuch Bhi Nahee