Joh Dil Peh Raj Karte Rahain, Ranion Ki Tara
Milte Hain, Tho Milte Hain, Beganon Ki Tara
Sharm-O-Haya Ne Husn-E-Rukh Ko Kya Sajaiya Tha
Mizhgan Giri, Muskarati Huwye Pankharion Ki Tara
Aakhiri Manzil Zaahir Hain, Raah Ki Qadr Kyon Karoon
Har Raah Se Guzarta Hoon, Khezan Ki Pathon Ki Tara
Unko Bhul Ne Keh Liye, Apne Dil Se Bhi Rishta Toora
Ab Apne Aap Se Bhi Milta Hoon, Ghairon Ki Tara
Sitaaron Ki Sooni Mehfil Main Koh Jaata Hoon Har Raat
Jaisai Teri Aankhon Main Kohya Tha, Diwanon Ki Tara
Itna Nah Door Jah, Ke Tujhe Raasta Nah Pir Mile
Kahin Khuda Nah Mukar Jaiye, Teri Namaazon Ki Tara
Umeedai Dufnaiye Hain, Muraadai Bhi Solah De Gain
Beh Hayaat Hasti Se Aankh Uta Laenge, Laashon Ki Tara
Tu Nahin, Teri Yaadon Ki Bijli Shab-O-Roz Gir Thi Hain
Aashk Baah Te Hain, Baraste Huwye Ghataon Ki Tara
Hum-Dard Ke Dar Par, Dard-E-Dil Ka Bhoj Rakha Tha
Uski Aastaan Se Humaari Kahani Uti, Afsanon Ki Tara
Rafiq Bhi Jab Mile Hain, Mile Raqibon Ki Tara
Apne Rang Badel Te Rehte Hain, Fizahon Ki Tara
Beqaraar Dil Ke Liye Kuch Yaadain Bana Le “Asir”
Sambaal Le Unko, Apne Jhooti Umeedon Ki Tara