Jo Zindagi Ke Talkh Haqeeqat Se Darr Gaye,
Woh Log Apni Maut Se Pahle He Mar Gaye,
Aayi Kuch Aisi Yaad Teri Pichhli Raat Ko,
Daaman Pe Be Shumaar Sitaare Bikhar Gaye,
Chhod Aaye Zindagi Ke Liye Naqsh Jawedaan,
Deewane Muskura Kar Jidhar Se Guzar Gaye,
Meri Nigaah Shauq Ke Uthne Ki Der Thi,
Yun Muskuraaye Woh Ke Manaazir Sanwar Gaye,
Duniya Me Ab Kholoos Hai Bas Maslehat Ka Naam,
Be Laus Dosti Ke Zamane Guzar Gaye,
Jinki Wafa Pe Naaz Tha Arif Mujhe,
Woh Mil Bhi Gaye To Aankh Bachakar Guzar Gaye.

By Arif Akhtar