Jo Utar Ke Zeena Shaam Se Teri Chashm-E-Khush Main Sama Gaye
Wahi Jalte Bujhte Charagh Se Mere Baam-O-Dar Saja Gaye
Yeh Ajeeb Khel Hai Pyaar Ka Main Ne Aap Ka Dekha Yeh Muajza
Woh Jo Lafz Mere Gumaan Main The Woh Teri Zaban Pe Aa Gaye
Woh Jo Geet Tum Ne Suna Nahi Main Omar Bhar Ka Riaz Tha
Mere Dard Ki Thi Woh Daastan Jise Tum Hansi Main Uda Gaye
Woh Charagh-E-Jaan Kabhi Jis Ki Lao Na Kisi Hawa Se Lagon Hui
Teri Bewafai Ke Waswase Us Se Chup Ke Chup Ke Bujha Gaye
Woh Tha Chaand Shaam-E-Wisaal Ka Ke Tha Roop Tere Jamaal Ka
Meri Rooh Se Meri Aankh Tak Kisi Roshni Main Naha Gaye
Yeh Jo Bandigan-E-Niaz Hain Yeh Tamam Hain Wohi Lashkari
Jinhein Zindagi Ne Amaan Na Di To Tere Huzur Main Aa Gaye
Teri Berukhi Ke Diyaar Main Hawa Ke Saath Hawa Hua
Tere Aaine Ki Talaash Main Mere Khuwaab Chehra Ganwa Gaye
Tere Waswason Ke Fishaar Main Tere Shehar-E-Rang Ujad Gaya
Meri Khuwahishon Ke Gubaar Main Mere Maah-O-Saal Wafa Gaye
Woh Ajeeb Phool Se Lafz The Tere Hont Jin Se Mehak Uthe
Mere Dash-E-Khuwaab Main Door Tak Jaise Khuwaab Koi Laga Gaye
Meri Omar Se Na Simat Sake Mere Dil Main Itne Sawal The
Tere Paas Jitne Khuwaab The Teri Aik Nigah Main Aa Gaye