Jo Phir Na Lautenge, Unka Raaste Aake Kyun Dekhe?
Jo Hai Hi Nahi, Phir Kyun Unki Kami Mehsus Ho Hume?
Hum Khud Hi Apni Aarzoon Par Kafan Chadha Aaye,
Ab Namuraad-E-Alam Mein Koi Shikwa Nahi Raha,
Hum Apne Hi Aansoon Ka Sila Jo Afsano Mein Likh Aaye,
Jab Dil Hi Na Raha To Dhadakta Hai Kis Liye,
Ab Na Koi Aasre Hain Na Zindagi Se Ranjishein,
Phir Jaane Kyun Namm Hoti Hain Aankhein Jab Din Dhale,
Kyun Khatm Na Ho Jaye Bezaar Zindagi Ke Silsiley,
Ab Bann Gaye Hain Rakeeb Shaam-O-Seher Mujhse,
Phir Rone Ki Sazaa Aayi Sirf Kyun Mere Hisse,
Sashe Tumhari Hasti Hai Chandni Ke Waaste,
Phir Koi De Gaya Hai Daag Tumhare Kaaynaat Pe.