Jo Meri Aankhon Se Khawab Dekho
To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge
Ke Lakh Chaho Na Ro Sako Ge
Hazar Chaho Na Hans Sako Ge
Ke Khawab Kiya Hain Azab Hain Ye
Maire Dukhon Ki Kitab Hain Ye
Rafaqatain In Main Phot Ti Hain
Mohabbatain In Main Roothti Hain
Panapti Hain In Main Vehshatain Si
Aziyatain In Main Phot Ti Hain
Inhin K Dar Se Khizan Hain Jazbay
Inhain Se Shakhain Se Toot Ti Hain
Ghamon Ki Bandish Hain Khuab Mairay
Dukhon Ki Barish Hain Khuab Mairay
Ubal Raha Hai Dukhon Ka Lava
Raheene Aatish Hain Khuab Hain Maire
Khayal Saray Jhulas Gaya Hain
Sulagti Khuahish Hain Khuab Maire
Ukharti Sansain Hain Zindagi Ki
Lahoo Ki Sazish Hain Khuab Maire
Jo Maire Aankhon Se Khuab Dekho
To Aik Shab Bhi Na So Sako Gay