Jo Mere Wehm-O-Gumaan Me Nahin Thi,
Usne Us Haqiqat Ka Autraaf Kiya,
Ek Din Jab—
Almari Se Kuch Khushboodaar Aur,
Rang Birange Khat Achanak Mere Haath Lage The.
“Haan, Mein Kisi Aur Se Pyaar Karta Hun.”
Uske Lye Kitna Asaan Tha—
Faisle Ka Woh Zehar Mujhe Pila Dena,
Aisa Zehar Jise Peekar Bhi Mai Nahin Mari,
Aur Jiske Zere-Asar Mujhe Taahayaat Rehna Hai.
Mai To Ehtijaaj Bhi Nahin Kar Saki,
Aur Jaate Jaate Usne Yeh Kehkar Mere Karb Ko Aur Badha Diya—
“Yaqeenan Tum Bahut Achhi Ho,
Magar Afsos Tumhari Qismat Achhi Nahin.”

By Shabnam Sultana ‘Ada’