Jo Hum Na Rahe To Na Hogi Shikaayat
Na Koi Gile Fir Na Koi Sharaarat
Bahaare Bhi Phir Tumko Patjhad Lagengi
Chaman Mein Bhi Fir Tumko Gul Na Dikhenge
Suro Ka Wo Sangam Bhi Fika Lagegaa
Sitaron Mein Bhi Tumko Main Hi Dikhungi
Tumhein Tab Sataayengi Ye Meri Baatein
Kabhi Aansuon Ke Jo Moti Bahenge
Milunga Mein Tumko Unhi Aansuon Mein
Kabhi Jab Khushi In Labon Pe Khilegi
Mujhko Hi Paoge Apni Haseen Mein
Hawaon Mein Pegaam Mera Sunoge
Tumhein Sunne Wala Tab Mein Na Rahoonga
Tumhein Tab Mein Shayad
Samajh Na Sakoonga Agar Ho Gile
To Wo Aaj Keh Do Hui Ho Khata To
Humein Maaf Kar Do.