Jo Dekhta Hun Aaina To Main Nahii Dikhta
Apne Baare Mein Chaah Kar Bhee Kuchh Nahii Likhta
Azal Se Chaashnii Parakh-Parakh Rahe Hain Sabhii
Khareed Daar Beshumaar Main Nahii Bikta
[Azal = Since Long Time, Chaashnii = Sugar Syrup]
[Khareed Daar = Buyers, Beshumaar = Huge]
Ye Aankh Kee Lakeer Jo Bhigo Ke Jaataa Hain
Surkh Aansu Ka Sa Lagta Lahu Nahii Dikhtaa
[Surkh = Red, Lahoo = Blood]
Azal Se Chaashnii Parakh-Parakh Rahe Hain Sabhii
Khareed Daar Beshumaar Main Nahii Bikta
Itnii Paabandi Lagaakar Mere Hamdam Mere Dost
Aaj Bhee Chehra Tera Khushnuma Nahii Dikhtaa
Azal Se Chaashnii Parakh-Parakh Rahe Hain Sabhii
Khareed Daar Beshumaar Mai Nahi Bikta
Qatl Kar Paaye Mere Diqqat-E-Khayaalon Ko
Aaj Maanind Koi Hamsafar Nahi Dikhtaa
[Maanind = Similar]
[Diqqat-E-Khayaal = Troublesome Thought]
Azal Se Chaashnii Parakh-Parakh Rahe Hain Sabhii
Khareed Daar Beshumaar Main Nahii Bikta
Mujhko Samjhaana Hai Mushkil Ye Maine Maan Lia
Meri Baatein Bhi Samajhta Koi Nahi Dikhtaa
Azal Se Chaashnii Parakh-Parakh Rahe Hain Sabhii
Khareed Daar Beshumaar Main Nahii Bikta
Aaj Mai Tanhaa Is Kadar Kisi Talaash Me Hoon
Aur Koi Bhi Mujhe Gumshudaa‚  Nahii Bikta
[Gumshudaa = Lost]
Azal Se Chaashnii Parakh-Parakh Rahe Hain Sabhii
Khareed Daar Beshumaar Main Nahii Bikta
Jo Dekhta Hoon Aaina To Mai Nahi Dikhta
Apne Baare Me Chaah Kar Bhi Kuchh‚  Nahii Bikta