Jo Dard-E-Muhobbat Kee, Dawaa Maang Rahen Hain
Woh Din Mein Sitaron Kee, Ziyaa Maang Rahen Hain ,
Arbaab-E-Khirad Tum, Rasn-O-Daar Sajao
Hum Mujarim-E-Ulfat Hain, Sazaa Maang Rahen Hain ,
Mazi Ke Shab Doroz, Aaa Jaaye Palat Kar
Iss Daur Ke Insaan, Duwaa Maang Rahen Hain ,
Hum Khurd-E-Aalam Hai, Aie Gardish-E-Dauran
Laa Tujhse Gham-E-Hoshrubaan Maang Rahen Hain ,
Naa Jalta Naa Bujhta, Hoon Charaag Mai Larazta
Jala De Ya Bujha De, Khuchh Hawaa Maang Rahen Hain ,
Jhannat Ki Tamanna Jinhe Hongi Unhe Hongi
Hum To Tere Kooche Kii Kaza Maang Rahen Hain