Jitna Inke Peeche Jaaoge
Utne Hi Door Ye Ho Jaate Hain
Raah Main Cahlte-Chalte Jaise
Raahi Kahin Kho Jaate Hain
Jeene Ki Ummeed Aur
Dil Ko Maksad Bhi Ye De Jaate Hain
Kisi Doobte Hue Ko Jaise
Tinkon Ke Sahare Mil Jaate Hain
Har Pal Ladte Rehne Ka
Saahas Bhi Ye De Jaate Hain
Makdiyon Ki Nirantar Koshish Se Jaise
Jaale Jhat Se Bun Jaate Hain
Sach Agar Ye Ho Jaate
To Shayad Sapnay Na Kehlate
Zindagi Agar Jung Na Hoti
To Shayad Ye Bhi Na Aate
Inhe Dekho To Zaroor
Par Swayam Poore Hone Ki Aas Ne Rakho
Vishwaaas Rakho Apne Aap Par
Aur Saakaar Karne Ki Takat Rakho
Aisa Nahi Hai Ki Ye
Kabhi Saakaar Nahi Hote
Par Saakaar Hote Hain Sirf Unke
Jo Kabhi Dhairya(Patience) Nahi Khote