Jism Kee Deewaron Mein Meri Ruh Machalti Hain,
Dil Kee Khwahishen Meri Her Aah Se Jalti Hain.
Unke Intzaar Ko Hee Zindaagi Ne Mohlat Di Hain,
Seene Se Saansen Bhee Ruk-Ruk Ke Nikalti Hain.
Bedardon Kii Duniya Mein Shikve Bhii Karen Kaise,
Gair To Gair,Apno Kii Bhii Nazren Badalti Hain.
Masoom Se Dil Pe Aisi Inayaten Hain Teri,
Dil Kii Dhadkan Ab Tere Naam Se Dahalti Hain.
Sookhe Patte Bhii Naa Bache Is Shajar* Mein Jab, (Shajar=tree)
Sarfiri Hawaen Kyon Aaj Is Sehra*Mein Tahalti Hain. (Desert)
Is Jahan Mein Ekk Main Hii Nahi ‘Shaad’ Rone Wala,
Saath Mere Shama Bhii Shab Bhar Pighalti Hain.