Jise Dushman Samajhta Hoon Wohi Aapna Nikalta Hai,
Ke Har Patthar Ka Mere Sar Se Kuch Rishta Nikalta Hai.
Zara Sa Chuhtputa Jate Hi Chupp Jataa Hai Suraj Bhi,
Magr Ek Chand Hai Jo Shabb Mein Bhi Tanha Nikalta Hai.

Kisi Ke Pass Aate Hai, To Darya Sookh Jata Hai,
Kisi Ki Edhiyon Se Ret Mein Chasma Nikalta Hai.
Jise Tum Jurm-E-Gaddari Mein Aksarr Qatl Karte Ho,
Ussi Ki Jebb Se Kyoon Mulq Ka Jhanda Nikalta Hai.
Fiza Mein Ghol Di Hai Naftaren Ehel Sihasat Ne,
Magar Pani Kuenn Se Aaj Tak Mitha Nikalta Hai.
Duaen Maa Ki Pohchaane Ko Milo-Mil Jati Hai,
Ke Jab Pardesh Jane Ke Liye Beta Nikalta Hai.