Jis Shakl Mein Bhi Husn Ki Wehdat Dikhai De
Us Mein Dawam Ki Koi Surat Dikhai De
Jis Ne Tumhare Husn Ko Wehdat Ata Kari
Mujh Ko Kabhi Aye Kaash Wo Qudrat Dikhai De
Aisa Bhi Koi Kul He Yahan Jis Ke Sub Hoon Juz
Jis Mein Na Intishar Ki Surat Dikhai De
Jo Noor-E-Lamakan Ko Pather Main Daal De
Paida Kabhi Wo Haath Main Hirfat Dikhai De
Aazar Tere Butoon Main Nihan He Khuda Ki Zaat
Her Naqsh Husn-E-Yaar Ki Midhat Dikhai De
Zarroon Ko Jis Ne Joord Ker Paida Kiya Ghubar
Aaankhoon Ko Meri Kaash Wo Quwwat Dikhai De
Jis Main Sanwar Ke Aati He Tasweer-E-Kainaat
Mujh Ko Kabhi Aye Kaash Wo Khilwat Dikhai De
Pesh-E-Nazar He Surate Hasti Ko Jo Sada
Us Aaine Ki Bhi Kabhi Hairat Dikhai De
Ya Tu Dikhai De Mujhe Ya Deed Main Tere
Hayal‚  Jo Ho Gae He Wo Hujjat Dikhai De
Kiya Choord Doon Khayal-E-Baqa-E-Dawaam Ko
Ger Mukhtasir He Rabt Ki Muhlat Dikhai De
Jis Ne Rakha Hai Joord Ke Her Dil Ko Ishq Se
Uryaan Kabhi Aye Kaash Wo Taqat Dikhai De