Jis Ghar Mein Chand Numudar Hua Karta Hai
Kya Tujhay Ay Dil-E-Bimar Hua Karta Hai
Log Waisay Hi Batay Nahi Banaya Kartay
Kuch Na Kuch Pas-E-Diwar Hua Karta Hai
Haath Apnon Ka Huwa Karta Hai Aksar Shamil
Pusht Say Jub Kabhi War Hua Karta Hai
Umar Ka Akhri Hisa Ho Kisi Manzil Par
Maut Say Barsar-E-Pekar Huwa Karta Hai
Jis Ko Mein Hijar Say Teshiad Dia Karta Huin
Jaan Lewa Wohi Aazar Huwakarta Hai
Har Kisi Cheez Ki Kimat Hai Yekinan Koi
Har Zarorat Ka Kharidar Huwa Karta Hai
Faisla Qata Taluk Ka Karo Ya Na Karo
Pyar Tu Gos Bas Ik Baar Huwa Karta Hai