Jindagi Ye Meri Le Rahi Hai Roop Kaisa
Kuch Bhi To Ismain Nahi Hai Mere Jaisa
Na Khula Aasmaan Na Hawa Ki Sarsaraahat
Na Panchiyon Ki Udaan Na Ghataaon Ki Aahat
Sapnon Ki Wo Zindagi Kitni Khoobsurat Hai
Sirf Mujhe Hi Nahi Ise Bhi Meri Zaroorat Hai
Mere Aas Paas Jo Hain Bandhan Nahi Zanjeerein Hain
Har Pal Har Shran Jo Mere Armanon Ko Cheerein Hain
Khawab Janm Lete Hain Dam Todne Ke Liye
Thaamte Hain Log Daaman Chodne Ke Liye
Talaash Hai Har Pal Aisi Zindagi Ki
Ki Zaroorat Hi Na Pade Khuda Ki Bandagi Ki
Ek Si Ho Sabke Lye Roop Main Na Dohri Ho
Chand Lafson Mai Kahoon To Wo Bas Meri Ho