Jindagi Ghazal Hoti To Gunguna Leta,
Bhojh Hoti To Kaandhon Pe Utha Leta,
Khabar Manzil Ki Hoti To Dushwaariyan Kya Thi,
Dariya Ki Tarah Raah-E-Guzar To Bana Leta,
Jimma Tha Mere Sar Ki Qaafila Mukaam Tak Pahunche,
Varna Main To Chaadar Kahin Bhi Bichha Leta,
Mera Shath Hi Khalne Laga Mere Humsafar Ko Jab,
Faisla Judaai Ke Siwa Doosra Kya Leta,
Ab Khaak Hi Baaki Hai Mohabbat Ki Jigar Mein,
Aag Hoti To Hawa Dekar Phir Jala Leta,
Be-Sabab Jeena To Pasand Mujhko Bhi Nahin “Sahil”,
Maut Bas Mein Agar Hoti To Bula Leta.
By Sahil Verma