Jhoote Sapne Aankhoon Mein Kab Tak Hum Sajaayenge
Tut Jaane Par Unke Fir Aansu Hum Bahaayenge
Hain Hum Insaan, Insaan Hona Khud Mein Ekk Sazaa
Jaane Kis Roj Hum Ye Baat Samajh Paayenge
Jeena Humko Hain Khokle Rivaazon Ko Nibhaate Huye
Dharm-O-Mazhab Ke Isi Bandhan Mein Jiye Jaayenge
Hote Jo Pancchi Naa Baandh Paati Sarhadein Bhii Humen
Hain Jo Insaan, Bebas Bin Pankhon Ke Kahaan Jaayenge
Reh Jaayegii Yeh Zindaagi Bhi Ekk Samjahautaa Bankar
Jaankar Bhii Hum Kucch Naa Kar Paayenge