Jeewan Khila Tha Koi Aise Jaise Koi Phool
Hanste Muskurate Gulshan Ko Wo Jee Raha Tha
Sawan Kee Rimjhim Se Chamak Raha Tha
Purvai Kee Roshni Se Damak Raha Tha
Kuch Lamhe Nahin Poori Ekk Zindagi Jee Raha Tha Phool
Khushi Ke Ansu Reh Rehkar Pyaar Se Pee Raha Tha Phool
Par Khushi Ko Kuch Jaldi Thii Shayad
Wo Laut Gayi, Laut_te Kadmon Ko Dekh Raha Tha Phool
Abb Murjhane Kii Baari Aayi Thii
Fiza Gayi Abb Khiza Kii Baari Aayi Thii
Dheere Dheere Mayus Ho Raha Tha Wo Phool
Jaise Apni Hi Mazaar Pe Ro Raha Tha Wo Phool
Dua Mangta Tha Hawa Chale Kuch Zor Se
Toot Kar Alag Ho Jaye Wo Ikk Dor Se
Ajeeb Sa Dard Jhel Raha Tha Wo Phool
Jane Kyun Apne Ghum Se Khel Raha Tha Wo Phool
Naa Hawa Chali Naa Koi Toofan Aaya
Naa Hii Dhoop Thi Uspar Naa Hi Koi Saaya
Apne Hii Aangan Mein Mara Pada Tha Wo
Maali Ne Usse Uthaya Jane Kahan Rakh Aaya