Jeewan Ke Safar Ke Raaste Hai Do
Ek Pe Chale Yeh Tan Aur Us Se Juda Hua Naam
Doosre Pe Chale Yeh Rooh Yeh Aatma
Jo Kaare Is Tan Me Vaas
Balak Se Baccha Huye
Aur Baccha Se Jawan
Jawani Me Saathi Paaye
Aur Khilaye Apna Pariwaar
Raaste Me Naam Kamaye
Aur Huye Dhanwaan
Phir Budhapa Dwar Khatkhataye
Aur Hua Tumhara hai Ram
Yeh Hua Tan Ka Safar
Jisme Paaye Dhan Aur Pariwaar
Jo Kucch Paya Is Dagar
Wah Sab Jayega Yehi Cchod Kar
Jo Raaste Rooh Aur Aatma Chale
Wah Hai Adhyatmic Safar
Yeh Raasta Kahi Bahar Nahin Jaaye
Le Jaaye Khud Apni Hi Bheetar
Is Dagar Pe Jo Paaye
Wah Hai Jeewan Ka Satya
Us Ko Saath Le Jaaye
Jab Jaaye Tu Jahan Ko Cchod Kar
Is Dagar Pe Saath Chal Mere
Ban Kar Mera Humsafar
Rooh Ke Saathi Tum Mere
Is Safar Me Tu Saath Chal