Jeevan Se Matt Haar Musafir
Jeevan Khel Anokha Hai
Jeevan Jitna Saccha Hai
Jeena Utna Dhoka Hai
Door Sulaghti Ret Ki Raahein
Zindagi Leti Dard Se Karaahein
Uss Paar Aashaein Khole Hai Baahein
Iss Paar Dil Mein Hai Thandi Aahein
Kaise Samay Yahan Per Kaatein
Apna Gum Ahum Kis-Se Baatein
Her Taraf Bas Ret Ke Teeley
Saare Dil Gamon Se Geeley
Her Dil Mein Khali Sthaan
Basta Jahan Ik Registaan
Mann Mein Mahal Sapno Ka Aaya
Uss Per Aandhiyon Ne Qehar Yeh Dhaaya.
Her Aasoon Ko Usne Pheka
Ret Ke Neeche Usse Dabaya
Apne Mann Ke Registan Mein
Phool Koi Khilana Hoga
Ek Ajnabi Ko Iss Registan Mein
Saathi Hume Banana Hoga
Jo Lekar Prem Ka Poora Sagar
Iss Mann Ko Dubaa Dega
Apnepan Aur Prem Ki Haryali Se
Iss Registan Ko Mitta Dega