Jeevan Ki Shaam Dhalne Ko Hai
Aankhon Mein Neend Aane Ko Hai
Aankhon Mein Assoon Aa Jaate Hain
Jab Bachpan Ki Yaadein Aati Hain
Un Galiyon Mein Na Jaane Kya Choot Gaya Hai Apna
Rah Rah Kar Massom Bachpan Ki Yadein Sattati Hain
Bada Jo Hua Rishto Naton Mein Uljata Hi Chala Gaya
Sansar Ke Rishton Natoon Ko Nibhane Jo Laga Apna Aap Ko Hi Kho Diya
Kabhi Kabhi Jab Aage Ki Sochta Hoon
To Dikhta Hai Sirf Andhkar
Kahete Hain Kalank Hai Kajal Se Kali
Par Lagata Hai Kalank Se Kala Hai Andhkar
Har Taraf Hai Dhuaan Hi Dhuaan
Lagata Nahin Ki Ab Kabhi Chatega Ye Dhuan