Jeevan Ke Pustaak Mein Ek Or Paath Sankalit Hua
Samarpit Usko Jisne Antarman Ko Chua
Ajnabi Jald Hi Bun Gaya Apnaa
Phir Un Aankho Ne Dekh Liya Ek Sapna
Thi To Woh Itni Samajhdaar
Na Jaye Kyon Karli Uski Har Baat Sweekar
Kehti Thi Nahi Hai Kuchh Bhi Nahi Hain
Dil Kehta Tha Sab Kuch Yehi Hai
Khushiyon Mein Mahak Rahi Thi
Sakhiyon Sang Chahak Rahi Thi
Samne Sabke Yatharth Diya Bol
Jaisey Nav Kopal Kislaye Rahi Ho Dol
Ajnnabi Ne Peghley To Apni Asamarthata Jatai
Phir Us Haqikat Ko Kahani Batayi
Wo Shayad Kuch Toot Gayi Thi
Uski Kismat Shayad Rooth Gayi Thi
Log Kehtey Hain Ajnabi Ne Bewafai Ki
Wo Jaanti Hai Usmein Sachhai Thi
Wo Jaanti Hai Usmein Sachhai Thi.