Jeena Chahate Hain Udana Chahate Hain
Sabdo Ke Tarang Par Khelana Chahate Hain
Lekin Jo Chahat Hain Wo Sirf Ekk Chahat Hain
Sirf‚  Sagar Kii Lahare Hain,Gambhir Sagar Nahi Hain
Kyu Aisa Kyu Hai Nistabhadh Disha Mein
Ekk Chinkhh Utha Jawab Mein -Â…
Apani Hi Pratidhwaani Aati Hai, Har Baar
Har Pal Kyu Aisa Kyu Hai-Â…
Har Baar Lahare Simatati Hai
Sagar Me Vilin Hoti Hai
Lekin Waqt Ke Ye Thapede
Fir Lahar Bana Hi Dete Hain
Ye Sach Hain Pratek Agantuk Ke Liye
Ye Anand Laati Hai In Par Surya Rashmiya-Â…
Nritya Kar Manmugdha Hoti Hai Chaand Taaro Ki Toli ..
Khud Ka Sringaar Karati Hai Lekin Ye Lahare-Â…
Tadap Kar Reh Jaati Hai Unaki Zindagi
Chillati Hai Jeene Ki Chahat Basaaye..
Pinjare Ki Pakchhi Udana Chahata Hai
Naw Aakash Me Pankh Failana Chahata Hai
Lekin Nahi Ye Pinjara -Â…oh!
Ye Sach Hai-Â…hum Usake Madhoor Swar Se
Manmugdha Hote Hai Lekin -Â…
Usame Chhipe Dard Ansuna Kiya Jaate Hai
Kridaao Se Usake Anandit To Hote Hai
Bechaara Pankchhi Khud ..
Khud Apane Bhagya Ka Khilona
Ban Rota Hai-Â….Udane Ki Chahat Mein.
Gaur Se Dekho Kahi Hum Jaha Anandit Hai
Waha Kisika Dil Chitkaar To Nahi Kar Raha
Kahi Chilla To Nahi Reha Jeena Chahate Hai
Udana Chahate Hai Sabdo Ke Tarang Par
Khelana Chahate Hai Lekin Nahi
Hum Me Se Kisi Ko,Itani Fursat Kaha
Hum To Chale Jaa Rahe Hai Apane Hi Sapano Mei
Apani Hi Baato Mei Apane Samaj Mei
Apane Ahankaar Mei Apani Suvidhaao Mei
Bhool Jaate Hai Kisi Ka Dard
Aansoon, Koi Chitkaar Diikhata Hi Nahi Kabhi Dikh Hi Jaaye To
Santwaana Ke Bas Do Bol Yehin To Zindagi Hai
Mai Puchhati Hoon Dard Se Aanchal Bharkar
Aansoon Ki Jagah Lahoon Giraakar
Agar Kisi Ko Yun Zindagi Milati Hai To
Us Saks Ko Kaise Kaise Keh Dete Hain
Yehi Zindagi Hain