Jee Raha Hoon Tere Woh Ek Khat Ke Sahare,
Jo Mehaki Woh Khushboo Judaai-E-Aalam Ke Sahare,
Main Kaise Jaalata Woh Khat Jiska Har Ek Alfaaz Moti Hain,
Kuch Yehi Bacha Hain Ek Zindagi Mein Sahara,
Ke Bechainiyon Ko Mein Behlaavu,
Tere Khat Ke Sahare,
Beshumaar Dardo Ki Dastaan Kaise Sambhale,
Jo Har Ek Lamha Beete Unko Tere Yaadon Mein Kaise Savaare,
Jinki Kahani Pe Zindagi Tiki Hain Meri
Unke Khat Ke Bina Kaise Umar Ab Guzaare,
Qaid Hain Umra Waqt Ke Mushkil Jaalo Mein,
Tere Mehak Ko Aise Mein Hum Judaa Kaise Kare,
Jo Laut Ke Naa Aayenge Unke Jalwo Ka Nasha Kaise Utare
Agar Yehi Halaat Hain To Koi Bataayen
Kaise Naa Jeeye Tere Yadoon, Tere Khat Ke Sahare
Mehakti Rahegi Meri Kahani Tere Woh Ek Khat Ke Sahare,
Tere Woh Khat Ke Sahare