Jawa The Jinke Hoton Pe
Mohabbat Ke Taranon Se
Batlaaye Koi Kis Baat Par
Wo Ab Phir Muskaraate Hain
Jawa Khusboo Ki Mahfhil Me
Rahte The Jinke Har Raat Din
Kya Ab Jab Main Nahin Hoon Saath
Wo Phir Bhi Mahak Jaate Hain
Jawa Saanshon Ke Paimanon Se
Hote The Madhosh Saamon Saher
Unki Yaad Bhar Se Hi
Phir Beqaraar Ho Jaate Hain
Jawa Thi ‘Preet’ Apni Kabhi
Har Dhadkan Pe Muskarate The
Dil Me Jo Abhi Hai Dhadakan
Muskuraa Kyu Na Paate Hain
Jawa Palkon Ki Soi Se
Ab Kyu Aks Baha Nikle
Kya Ab Bhi Mere Har Pal Ki
Dhadakan Wo Jaan Jaate Hain
Jawa Hasrat Ki Raahon Mein
Beete Din Bahut Gujare
Kyu Ab Bhi Mujko Har Pal Wo
Aise Yaad Aate Hain
Ja Yaadon Ke Saayon Mein
Rahate Hain Hardam Harwaqt
Bas Ab ‘Saagiya’ Nahi Hai Saath
Unki Yaadein Taaza Hain
Un Tazaa Yaadon Mein
Hum Phir Se Bahak Jaate Hain