Jashn Ke Mahaul Mein Gumon Ki Parasti Ho Gayi
Beti Ki Rukhsati Pe Walid Ki Rukhsati Ho Gayi
Socha Tha Baithaoonga Doli Mein Jaan-E-Jigar Ko
Per Aaj Khud Hi Kandhon Pe Jahan Se Rukhsati Ho Gayi

Heena Se Surkh Haton Me Saj Rahi Thi Beti
Anjaan Bekhabar Ki Kaisi Ye Badkismati Ho Gayi
Labon Pe Liye Tabassum Magar Dil Mein Chupe Ansoo
Dulhan Ko Rukhsat Kerke Cheekhon Ki Basti Ho Gayi
Ayi Jo Ghar Pe Beti, Dhoondey Apne,Walid Ko
Ghar Mein Kaisi Ankh-Michoni Ki Hasti Ho Gayi
Andaza Ger Lagao Ki Kya Hua Hoga Iske Baad!!
Hichkiyon Ke Beech Nikah-E-Khushi Kitni Sasti Ho Gayi
Insaan Hain Hum Bhi Koi Pather To Nahi Yaron!
‘Sona” Aaj Phir Ye Dekho Derd-E-Parasti Ho Gayi