Jara Bataao To, Mujhse Ey Dil
Rishta Kis Tarha Kaa Tum Chaahte Ho
Aaine Sa Ho Koi Apna‚  Ya Phir Koi
Sunaane Ko Ik Deewar Chaahte Ho,
Zakhm Pehle To Dikhate Ho Mujhe Tum Apne
Uspe Kehte Ho Ke‚  kyon Tadap Se Jaate Ho
Main Nikaaon Jo Khanjar Tumhaare Ghaavon Se
To Ye Kehte Ho Ke‚  Rulaate Ho-Â…?
Ye Jaroori To Nahii Meri Tarah Tum Bhi Piyo
Jisme Jiita Raha Main tum Bhi Us Nashe Me Jiyo,
Jo Ho Sake To Mere Waqt Se Sabak Lo Kuchh
Jo Ho Sake To fate Waqt Ko Tum Fir Se Siyo,
Mai Khulkar Miloon Kabhi Tumse
Mujhe Behroopiyaa Sa Tum Bataate Ho,
Or Ho Jaaon Agar Khud Mein Hee Kaheen Gum To
Tum Ise Tang-Dili Bataate Ho
Zara Bataao To, Mujhko Bhala Main Kaise Jiyoon
Tum Galat Baat Kaho‚  Or Or Main Chupchaap Rahoon,
Maaf Karna Magar Ye Mujhse Naa Ho Paayega
Ye Shaqsh Is Tarah tumko Nahi Behlaaega,
Tum Apne Zehen Ko Hee kaandha Banalo Ey Dil
Tum Apne Rishte Se Ye Ummeed Mitalo Ey Dil,
Mai Nahi Kehta Ke Har Waqt Mere Peeche Raho
Gar Dikha Sakte Ho To Mujhko Bhi, Koi Raah Dikhao Ey Dil,
Nafratein Shauk Se Farmaao Agar Chaaho To
Main Ye Nafratein Bhi Sajaa Leta Hoon,
Kai Apne Hain Jo Tasweer Le Gaye Hain Ey Chaand
Main Khaali Frame Bhii Diwaaron Pe Laga Leta Hoon.