Jane Wale Humari Mehfil Se Chand Taroon Ko Saath Leta Ja
Hum Khizan Se Nibha Kar Lenge Tu Bahroon Ko Saath Leta Ja
Khizan Ke Daur Mein Haade Bahr Leta Hoon
Koi Bhi Waqt Ho Main Hans Kar Guzar Leta Hoon
Guloon Se Rang Sitaroon Se Roshni Lekar
Jamal E Yaar Ka Naksha Uttar Leta Hoon
Ye Jo Dewaane The Do Char Nazar Athe The
In Mein Kuch Sahibe Asrar Nazar Ate Hai
Teri Mehfil Ka Baram Rakh Ke Soo Jate Hai
Warna Ye Log To Bezaar Nazer Ate Hai
Mere Damen Mein To Kanto Ke Siwa Kuch Bhi Nahi
Aap Phoolo Ke Kharidar Nazar Ate Hai
Hasher Mein Kaun Gawahi Meri Dega Sahil
Sab Tumhre Hi Tarafdar Nazar Ate Hai
Umer Jalwoon Mein Basar Hoo Ye Zarori To Nahi
Har Shabe Gham Ki Seher Ho Ye Zarori To Nahi
Neend To Dard Ke Bistar Pe Bhi Aa Sakti Hai
Unki Aaghosh Mein Saar Ho Ye Zarori To Nahi
Aag Ko Khel Patongo Ne Samjh Rakha Hai
Sab Ko Anjaam Ka Daar Ho Ye Zarori To Nahi
Shaikh Karta Jo Masjid Mein Khuda Ko Sajde
Is Ke Sajdoon Mein Azer Ho Ye Zarori To Nahi
Sab Ki Saki Pe Nazar Ho Ye Zarori Hai Mager
Sab Pe Saki Ki Nazar Ho Ye Zarori To Nahi
Koi Dil Mein Liye Armaan Chala Jatta Hai
Koi Koye Hue Ausaan Chala Jatta Hai
Husnewaloon Se Ye Keh Do Ke Na Nikle Baher
Dekhne Waloon Ka Imaan Chala Jatta‚  Hai