Janay Kya Majbori Thii Uski
Jis Ne Har Wadda Bhula Diya
Har Rishta Tod Diya
Naa Koi Taluq Rakha
Naa Kabhii Bhool Kay Yaad Kiya
Tha Jo Ik Ik Pal Kaa Razdaa
Zindagi Thii Jiskay Dum Sae Rawan Duwan
Aaj Janay Kahan Khoo Gya
Har Ik Kay Dil Mein Basnay Wali
Sub Se Apni Batein Munwanay Wali
Kyun Sub Ko Akaila Kar Gayi
Hasta Muskurata Chahra Uska
Aaj Bhi Nigahoon Mein Phirta Hain
Fazaoon Mein Abhi Bhi Khushi Basi Huyi Hain Uski
Aur Kahin Qareeb Hee Se
Uskay Qadmoon Kee Ahat Sunaee Daitee Hain
Aaj Bhi Nazrein Bhatakte Hein Unki Talash Mein
Lakin Woh Tu Ajnabee Manziloon Ka Mutlashi
Ajnabee Rastoon Mein Heee Khoo Gya
Kabhi Naa Lautnay Ko..
Janay Kiya Majbori Thee Uski
Jo Bina Bataye Yunhii Hum Se Root Gayi
Zindagi Bhar Keee Chahat Ko
Ik Lamhay Mein Bakhair Kay
Hamesha Kay Liye Bhula Kay Humein
Zamanay Bhar Kee Dhool Mein Uljhane Ko
Toote Khwaboon Ke Kirchian Samaitnay Ko
Akaila Chohre Gayi