Jamane Bher Ki Baton Per Mai Amal Ker Jaun;
Ya Yun Kahiye Ke Apne Gher Main Ghut Ke Mar Jaun.
Na To Manjil Ka Nishan Hai Na Rasta Koi;
Samajh Main Kuchh Nahi Ata Ke Main Kidher Jaun.
Wo Mujhe Dekh Ker Zinda Bade Pareshan Hain;
Bina Malik Ki Marzi Ke Mai Kaise Mar Jaun.
Khudaya Mujhko Hadson Se Bacha To Laya;
Socha Tera Sukriya Bhi Ada Kar Jaun.
Daur Nazuk Hai Ke Wehshat Ka Hona Lazim Hai;
Mumkin Hai Ke Apne Gher Main Bhi Mai Dar Jaun.
Shama Se Keh Do Zara Khud Pe Chauksi Barte;
Ger Mai Jala To Charagan Main Rat Ker Jaun.
Bulane Aaye Hain Wo Kya Pata Kab Lautein Mastghan;
Ruko Jara Mai Pehle Gher To Bataker Aaun.