Jahan Har Chetra Prant,
Aur Har Jaati Dharm Ke Liye,
Ekk Saath Hota Sawera,
Aisa Desh Hain Mera.
Jahan Bachon Ko Gyan Mile,
Aur Dhan Kii Naa Ho Haani,
Jahan Laksmi,Saraswati Ka Hota Basera,
Aisa Desh Hai Mera.
Alag-Alag Rang Roop Ke Log Yahan Rehte,
Yahan Pashuon Ki Bhi Puja Karte,
Jahan Swayam Ishwar Dalen Apna Basera,
Aisa Desh Hai Mera.
Jahan Purab,Paschim,Uttar,Dakshin,
Charon Oor Hain Hota Ujala,
Jahan Kahin Nahi Ho Andhera,
Aisa Desh Hai Mera.
Iss Desh Ke Saputon Se Darta Har Koi,
Kyonki Unki Asthi Tak Hain Khoi,
Hai Jisne Bhi Iski Aan Kii Chera,
Aisa Desh Hain Mera.